Silai Center ka Safar
Seema Devi, ek gramin kshetra ki rahne wali mahila, jinhone apni mehnat aur Sarv Kalyan Association ke sahyog se apne jeevan ko badalne ka safar tay kiya. Yeh kahani hai ek aise sapne ki jo microfinance ke sahare saakaar hua.
Seema Devi ek gareeb parivar se hain. Unke pati ke alawa poora parivar un par nirbhar tha. Apni parivarik sthiti ko dekhte hue, Seema Devi ne apne haath se kuchh kar dikhane ka irada kiya.
Microfinance ka Sahayog
Sarv Kalyan Association ke baare mein sunne ke baad, Seema Devi ne unse sampark kiya aur apne chhote vyapaar ke liye run prapt kiya. Microfinance ke madhyam se unhe na sirf run prapt hua, balki vyapaar ki shuruat aur prabandhan ke liye margdarshan bhi mila.
Seema Devi ne apni silai dukan shuru ki aur dheere-dheere apne kaam ko badhate chali gayi. Unki mehnat aur Sarv Kalyan Association ke sahyog se, aaj unki dukan achha vyavsay kar rahi hai. Apne vyapaar ke madhyam se unhone na sirf apni arthik sthiti ko sudhara, balki apne parivar ka jeevan starr bhi uthaya.